kyun kisi ne tumhein roka to na tha aa jate aur anjaan bhi rasta to na tha aa jate is se pahle ye bahana to na tha aa jate darmiyan apne zamana to na tha aa jate wahm hai aap ka aisa to na tha aa jate bazm mein ghair ka charcha to na aa jate haal-e-bimar bhi achchha to na tha aa jate zakhm mujh par koi taza to na tha aa jate raat thahri hui thi aur faza thi gum-sum chand bhi baam se utra to na tha aa jate