ek rukh sau naqab hai duniya aur phir be-hijab hai duniya khubsurat hanuz be-khushbu kaghazon ki gulab hai duniya koi tabir kya kare us ki ek gunge ka khwab hai duniya lafz-o-mani ki tazgi mat puchh go purani kitab hai duniya hum bhi aise kahan ke achchhe hain kya hua gar kharab hai duniya sar-basar aish bhi aziyyat bhi khuld-e-dozakh-maab hai duniya aao 'zeba' ye tajziya to karen hum hain khud ya kharab hai duniya