ek safar par use bhej kar aa gae ye guman hai ki hum jaise ghar aa gae wo gaya hai to khushiyan bhi sari gain shakh-e-dil par khizan ke samar aa gae lakh chaho magar phir wo rukte nahin jin parindon ke bhi baal-o-par aa gae hum to raste pe baithe hain ye soch kar jo gae the agar laut kar aa gae us se mil ke bhi kab us se mil pae hum bich mein khwahishon ke shajar aa gae us ne us par apna basera kiya hum ne dariya ko chhoda idhar aa gae ek dushman se milne gae the magar ek mohabbat ke zer-e-asar aa gae