sham apni be-maza jati hai roz aur sitam ye hai ki aa jati hai roz koi din aasan nahin jata mera koi mushkil aazma jati hai roz mujh se puchhe koi kya hai zindagi mere sar se ye bala jati hai roz jaane kis ki surkh-rui ke liye khun mein ye dharti naha jati hai roz git gate hain parinde subh o sham ya samaat chahchaha jati hai roz dekhne walon ko 'ajmal' zindagi rang kitne hi dikha jati hai roz