sukh ki bohtat hai zindagi zakhm de mera dukh bant kar phir koi zakhm de justuju phir koi dil mein rasta bana phir se nakaamiyon ka wahi zakhm de raushni ho nazar-dar-nazar raushni ek kami hai kami-dar-kami zakhm de gum-shuda chahaton ka wazifa padha bolte manzaron ki gali zakhm de tu mujhe zindagi ka qarina sikha mujh pe ehsan kar dil-lagi zakhm de dard ka zaiqa bhul baitha hun main aisa kar tu mujhe is ghadi zakhm de nutq-e-'adil' ki shirini kam ho zara talkhi-e-hijr ki bekali zakhm de