ek samundar aansuon ka bhar chuka kamre mein wo apni barbaadi ka matam kar chuka kamre mein wo uf ye sannata ye tariki ye tanhai ka khauf tere bin jite hi ji hai mar chuka kamre mein wo mujh ko kuchh aisa laga ki mar ke zinda ho gaya apne hi sae se jaise dar chuka kamre mein wo ab na bolo aap kuchh aur na hi ab bole koi wo kabhi ka mar chuka hai mar chuka kamre mein wo uf re tanhai ka ye ehsas apne aap mein lash jaise aap apni dhar chuka kamre mein wo khud-kushi 'arpit' ki koi zikr ke qabil nahin jo bhi karna tha use ab kar chuka kamre mein wo