hain jitne bhi rup zindagi ke kisi pe na e'tibar aaya wahan se daman bacha ke guzre jahan pe koi farar aaya hui jo taqsim rahaton ki inayaton ki ya chahaton ki kisi ke hisse mein na-rasai kisi ke bas intizar aaya wo jis se dil ke hain dip jalte bas ek chehra hai shahar bhar mein us ek chehre pe jaane kaise hamara dil bar bar aaya hawaon ki thi ada nirali ghataen chhai thin kali kali sambhaale dil muntazir rahe hum na abr barsa na yar aaya jinhen nibhane mein umr biti unhen ganwaya bas ek pal mein wahin pe rishton ka man tuta jahan dilon mein ghubar aaya ye dil bhi kaisi ajib shai hai wo mange jo ki na mil sake hai jo dur hai us ki dastaras se usi pe khud ko hai haar aaya