ek sanp mujh ko chum ke tiryaq de gaya lekin wo apne sath mera zahr le gaya akasr badan ki qaid se aazad ho ke bhi apna hi aks dur se main dekhne gaya duniya ka har libas pahanna pada use ek shakhs jab nikal ke mere jism se gaya aisi jagah ki maut bhi dar jae dekh kar main khud ko zindagi se bahut dur le gaya mahsus ho raha hai ki main khud safar mein hun jis din se rail par main tujhe chhodne gaya kitni subuk si aaj mere ghar ki sham thi main filon ka bojh uthae hue gaya ashaar ka nuzul hai khali dimagh mein ai 'kaif' tu na jaane kahan chhodne gaya