hath mein apne abhi tak ek saghar hi to hai jis ko sab kahte hain mai-khana wo andar hi to hai dam mein tair ko le jati hai dane ki talash phir bhi mazlumi-o-mahrumi muqaddar hi to hai kaisi kaisi koshishen kar len miyan-e-jang bhi mard-e-maidan jo bana hai wo sikandar hi to hai apne khaliq ki ata par naz hona chahiye jo hasad rakhte hain un ka haal abtar hi to hai khak ke zarre chamakte hain ziya-e-nur se aasman par jo hai wo khurshid-e-khawar hi to hai chhodiye bughz-o-adawat to samajh mein aae kuchh jo 'wasiya' ho raha hai tujh ko bawar hi to hai