ek shajar hai la-fana jis ki jaden hain sanglakh jad hai upar aur hai niche ki jaanib jis ki shakh barg jis ke did hain mahram hai jis ka did-dan hai sifat jis ka tana jis se hari hai shakh shakh jis ki shakhon ke shagufe hiss-o-mahsusat hain bekh-e-awezan ka hai dam-e-amal daman farakh jo shajar hai la-makani ghair mutshakkil qadim qata karna lazmi hai jis ki bekh-e-sanglakh tegh se tajrid ke le kaam ho farigh-nashin asl mein ho wasl hain sab far-e-ghuncha barg-o-shakh farz hai ye kar ada-e-farz be-bim-o-raja dekh 'sahir' sar-zamin-e-ishq hai kya sanglakh