makan kahin to muqarrar ho la-makan ke liye nishan kahin to muayyan ho be-nishan ke liye mila hai jism hamein imtiyaz-e-jaan ke liye bashar wajud mein aaya hai imtihan ke liye nigah waqf-e-jamal-o-khayal mahw-e-jalal rah-e-fana mein hain do naqsh-e-pa nishan ke liye muhit-e-ishq ki maujen hain iztirab-o-sukun ki madd-o-jazr bane bahr-e-bekaran ke liye huzur-e-qalb hai sarmaya-e-hayat-e-dawam nafas hai khizr mera umr-e-jawedan ke liye meri namaz ko bahr-e-wuzu hai jam-e-tuhur sala-e-saqi-e-kausar hai bas azan ke liye hamare dil mein yaqin ko mili hai gunjaish ki bas hai wusat-e-kaun-o-makan guman ke liye chali jo sahil-e-umr-e-rawan se kashti-e-tan nafas se kaam mashiyyat ne baadban ke liye hua ye shoala-zabani se shama ki raushan ki mom ho hama-tan aatishin bayan ke liye meri nazar mein hai ism-o-sifat ki jalwagari zaban-e-haal hai shahid mere bayan ke liye kaha ye rahmat-e-bari ne hai ye haq se baid ki waqf ho koi jalwa kisi makan ke liye ayan ye husn-e-khud-ara ki khud-numai hai ki nur-e-ain hai chashm-e-jahaniyan ke liye farogh-e-ilm se raushan hai sham-e-bazm-e-sukhan sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye baqa-e-zat mein hai ma-siwa fana 'sahir' ye dil pe naqsh hai tawiz hirz-e-jaan ke liye