ye dil-kashi ye nazakat kahin nahin dekhi jahan mein tujh si koi shai hasin nahin dekhi har ek zarra yahan ka hai rashk-e-shams-o-qamar dayar-e-ishq si hum ne zamin nahin dekhi tumhaare dam hi se qaem thi dilkashi is ki tumhaare baad ye duniya hasin nahin dekhi hamari tauba ka kya hashr ho khuda jaane ghata kuchh aisi to kaif-afrin nahin dekhi har ek bazm mein dekhi hai hum ne qadr-e-wafa magar ye baat faqat ek yahin nahin dekhi kabhi to bhule se ek bar han bhi kah dete tumhaare lab pe hamesha nahin nahin dekhi har ek gunah mein lazzat to hai magar ai 'sehr' gunah-e-ishq si lazzat kahin nahin dekhi