ek shama anjuman mein jalati rahi hun main

ek shama anjuman mein jalati rahi hun main
jal jal ke dip khud hi banati rahi hun main

kya puchhte ho ab meri sanson ka rabta
ro-ro ke haal sab ko batati rahi hun main

har bar zindagi ne diya ek naya fareb
phir zindagi se aas lagati rahi hun main

shakhon se puchhti rahi hai sar-phiri hawa
kis ke liye zamin sajati rahi hun main

rakhe hue khadi hun mohabbat munder par
diwar nafraton ki giraati rahi hun main

hain aabgina jaise meri zindagi ke rang
tufan se aainon ko bachati rahi hun main

ban jaen kal saron pe ye saya ghaner sa
paude jagah jagah pe lagati rahi hun main

nargis kaha kisi ne kisi ne kaha hai gul
aankhen zamin ke beach ugati rahi hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close