milne ka bhi aakhir koi imkan banate mushkil thi agar koi to aasan banate rakhte kahin khidki kahin gul-dan banate diwar jahan hai wahan dalan banate thodi hai bahut ek masafat ko ye duniya kuchh aur safar ka sar-o-saman banate karte kahin ehsas ke phulon ki numaish khwabon se nikalte koi wijdan banate taswir banate jo hum is shokh-ada ki lazim tha ki muskan hi muskan banate us jism ko kuchh aur sameta hua rakhte zulfon ko zara aur pareshan banate kuchh din ke liye kaam se fursat hamein milti kuchh din ke liye khud ko bhi mehman banate do jism kabhi ek badan ho nahin sakte milti jo koi ruh to yak jaan banate