ek sukut-e-bekaran shoala-bayani se alag ek duniya hai mere shahr-e-maani se alag mauj khud sakit khadi thi ya ki tha ye dam-e-ab kya tha wo thahraw sa paiham rawani se alag wo bayan aahang jis ka dil ko chhalni kar gaya garm-guftari se hat kar be-zabani se alag sari khushiyan jhut hain har muskurahat hai fareb aao ek duniya basaen shadmani se alag main bhi apni zat ke haibat-kade mein hun asir wo bhi ruh-e-muztarib qaid-e-makani se alag rabt-e-baham par na tha harf-e-tasalsul ka murad yani har kirdar tha dil ki kahani se alag aur kitna roiega yaad kar 'azad' ko ek din hona hi tha is dar-e-fani se alag