jo parwane ke qabze mein dil-e-mastana ho jae

jo parwane ke qabze mein dil-e-mastana ho jae
ba-zor-e-jazb-fitri shama khud parwana ho jae

meri ujdi hui mahfil mein tum ek bar aa jao
abhi dair-o-haram mein khak ude virana ho jae

na aana han na aana tum wahin rahna wahin rahna
kahin bimar-e-hijran did se achchha na ho jae

na puchho haal-e-dil ummid bandh ke tut jati hai
yagana ban ke phir koi agar begana ho jae

tumhein hai ikhtiyar aabaad ya barbaad kar dalo
bahar-surat mukammal ab mera afsana ho jae

ye khuddari ki daulat jis ko mil jae zamane mein
khudi bhule wo hast-o-bud se begana ho jae

mera dil tod kar barbaad karte to hain wo 'alim'
ye musht-e-khak mit kar ek nai duniya na ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close