ek suraj tha ki taron ke gharane se utha aankh hairan hai kya shakhs zamane se utha kis se puchhun tere aaqa ka pata ai rahwar ye alam wo hai na ab tak kisi shane se utha halqa-e-khwab ko hi gird-e-gulu kas dala dast-e-qatil ka bhi ehsan na diwane se utha phir koi aks shuaon se na banne paya kaisa mahtab mere aaina-khane se utha kya likha tha sar-e-mahzar jise pahchante hi pas baitha hua har dost bahane se utha