ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai qatre mein samundar hai zarre mein bayaban hai hai ishq ki mahshar mein yun mast o khiraman hai dozakh ba-gareban hai firdaus ba-daman hai hai ishq ki shorish se ranai o zebai jo khun uchhalta hai wo rang-e-gulistan hai phir garm-e-nawazish hai zau mehr-e-darakhshan ki phir qatra-e-shabnam mein hangama-e-tufan hai ai paikar-e-mahbubi main kis se tujhe dekhun jis ne tujhe dekha hai wo dida-e-hairan hai sau bar tera daman hathon mein mere aaya jab aankh khuli dekha apna hi gareban hai ek shorish-e-be-wasl ek aatish-e-be-parda aafat-kada-e-dil mein ab kufr na iman hai dhoka hai ye nazron ka bazicha hai lazzat ka jo kunj qafas mein tha wo asl gulistan hai ek ghuncha-e-afsurda ye dil ki haqiqat thi ye maujzani khun ki rangini-e-paikan hai ye husn ki maujen hain ya josh-e-tabassum hai us shokh ke honton par ek barq si larzan hai 'asghar' se mile lekin 'asghar' ko nahin dekha ashaar mein sunte hain kuchh kuchh wo numayan hai