meri hayat hai bas raat ke andhere tak mujhe hawa se bachae rakho sawere tak dukan-e-dil mein nawadir saje hue hain magar ye wo jagah hai ki aate nahin lutere tak mujhe qubul hain ye gardishen tah-e-dil se rahen jo sirf tere bazuon ke ghere tak sadak pe soe hue aadmi ko sone do wo khwab mein to pahunch jaega basere tak chamak-damak mein dikhai nahin diye aansu agarche main ne ye nag rah mein bikhere tak kahan hain ab wo musafir-nawaz bahutere utha ke le gae khana-ba-dosh dere tak thaka hua hun magar is qadar nahin ki 'shuur' laga sakun na ab us ki gali ke phere tak