hamara azm ziyaada ki rahguzar kam hai har ek gam pe lagta hai ye safar kam hai ujala aur bhi kuchh phailne do aangan mein abhi na shama bujhao ki ye sahar kam hai jo padh sako to bahut hai meri jabin ki shikan subut-e-gham ke liye warna chashm-e-tar kam hai barabari ke liye chahiye kami-beshi makan uncha banao zamin agar kam hai kai charagh munawwar hain bazm mein lekin unhen pata ye nahin raushni kidhar kam hai tumhaari zulf ke sae mein dhup be-mani mere liye to qayamat ki dopahar kam hai mile na zaiqa kuchh itni be-namak bhi nahin hamari baat mein lekin zara shakar kam hai