ek tair-e-KHizar kahin rasta badal gaya

ek tair-e-khizar kahin rasta badal gaya
sahra-e-fikr tera nasiba badal gaya

milne lagi ajib si tabir bhik mein
lagta hai khwab ka koi kasa badal gaya

izhaar karte dil ki khamoshi zara bata
badla hai gham ki gham ka mudawa badal gaya

main sahil-e-guman ki zaban sikhta magar
dariya-e-mumkinat ka lahja badal gaya

saiqal-gari kamal ki ek aks-e-gul ne ki
aaina-e-chaman ka sarapa badal gaya

rukhsat mili to tohfe mein khayyat-e-tishnagi
aasudgi ke tan ka labaada badal gaya

lagne lagi hai phir se mujhe ajnabi zamin
lagta hai phir se mera sitara badal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close