sath mehr-o-khulus-o-ulfat hai mere aslaf ki amanat hai ek ek lamha besh-qimat hai sirf ehsas ki zarurat hai betiyon ka wajud rahmat hai man ke qadmon ke niche jannat hai dali dali khizan-rasida hai be samar nakhl-e-adamiyyat hai ek jaanib tazad-e-qaul-o-amal ek taraf mansab-e-shahadat hai har zamana mera wajud-shanas har sadi par meri hukumat hai muttahid ho to sans loge phir tafraqa zahr hai halakat hai tum jo 'hanafi' khuda ko bhul gae bas usi ka wabaal zillat hai