fitne jo kai shakl-e-karishmat uthe hain kuchh dil mein anokhe se khayalat uthe hain mahfil mein wo jab bahr-e-mulaqat uthe hain hamraaz se karte hue kuchh baat uthe hain aandhi to abhi sahn-e-chaman tak nahin pahunchi ek jhonke se sukhe hue kuchh pat uthe hain hir-phir ke wahi samne tha parda-e-auham kahne hi ko aankhon se hijabaat uthe hain man mast hain is tarah rawan nafs ke pichhe sar karne ko goya ki muhimmat uthe hain ai shaikh na ye kufr na fitna hai na shar hai ek hum bhi sunane ko nai baat uthe hain sairabi-e-jaan dekh ki hum bazm se us ki aankhon mein basae hue barsat uthe hain