ek tamanna mein giraftar the hum bhi tum bhi

ek tamanna mein giraftar the hum bhi tum bhi
sari duniya ke gunahgar the hum bhi tum bhi

dilkashi dekh ke chadhte hue dariyaon ki
dubne ke liye tayyar the hum bhi tum bhi

be-sabab donon mein har ek ko dilchaspi thi
aur har ek se bezar the hum bhi tum bhi

kaamyab aise kahan apne mukhalif hote
mustaqil un ke madad-gar the hum bhi tum bhi

aaj tak jine ka ilzam liye phirte hain
chand sanson ke khatawar the hum bhi tum bhi

muskurahat mein kabhi gham ko chhupa hi na sake
yani nakaam adakar the hum bhi tum bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close