samajh sake jo meri baat wo kalam kare

samajh sake jo meri baat wo kalam kare
nahin samajhta to bas dur se salam kare

jise bhi chahiye khairaat mein meri aawaz
wo pahle meri khamoshi ka ehtiram kare

kiwad khulte hi warna badan se liptegi
use kaho ki udasi ka intizam kare

muamlat jahan us ke waste chhode
aur ek wo hai jo fursat se apne kaam kare

mujhe sukun hi wo aawaz sun ke aata hai
to kyon na rabt-e-musalsal wo mere nam kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close