ek tanha khatir-e-mahzun jise afkar sau ek mujh bimar se wabasta hain aazar sau hai tajjub nok-e-mizhgan se jo khun-aluda hun khun-girafta ek dil aur khanjar-e-khun-khwar sau mu-ba-mu kyun-kar na ho mujh ko giraftari-e-zulf kafir-e-ishq-e-butan main ek aur zunnar sau du-ba-du kab ho saken us ke 'asar' hai aankh nar kya hua, hain dekhne kahne ko gar aghyar sau