hangama hai na fitna-e-dauran hai aaj-kal har samt sham-e-amn farozan hai aaj-kal sunne mein aa rahe hain masarrat ke waqiat jamhuriyat ka husn numayan hai aaj-kal jo ghuncha hai wo apne tabassum mein mast hai jo phul hai bahaar-ba-daman hai aaj-kal nazron mein iztirab na dil mein koi khatak kanton se pak sehn-e-gulistan hai aaj-kal muddat ke baad aaya hai aazadiyon ka lutf afsurda hai na koi pareshan hai aaj-kal ab ahl-e-karwan ka bhatakna bahaal hai khud mir-e-karwan hi nigahban hai aaj-kal jis anjuman mein jate na the pahle ahl-e-dil 'sheri' us anjuman mein ghazal-khwan hai aaj-kal