ek taraf talab teri ek taraf zamana hai puchhta hai dil mujh se kis taraf ko jaana hai mere ghar wo aaega aaj ghar sajaana hai is taraf ki chizon ko us taraf lagana hai naqsh-ha-e-rangin ka ek nigar-khana hai zindagi haqiqat hai zindagi fasana hai jazba-e-junun-e-ishq go bahut purana hai phir bhi taza-tar hai ye phir bhi walihana hai paenge khushi bhi hum ranj-o-gham bhi jhelenge is jahan mein jab tak apna aab-o-dana hai dushmanon ke tane hain doston ki tanqiden tir saikadon hain aur ek dil nishana hai aatishin hai lahja bhi guftugu bhi barudi sochiye 'shafiq' us se kis tarah nibhana hai