mahak kaliyon ki phulon ki hansi achchhi nahin lagti tumhaare bin hamein ye zindagi achchhi nahin lagti bhale mil jae daulat aur shohrat hum ko duniya mein magar dil ko mohabbat ki kami achchhi nahin lagti zara si thes lagne se chhalak padte hain kyun aansu hamesha aankh mein itni nami achchhi nahin lagti mohabbat ke safar mein rut bhi aati hai judai ki hamein us waqt koi bhi khushi achchhi nahin lagti kabhi to abr ban kar jhum kar niklo kahin barso ki har mausam mein ye sanjidgi achchhi nahin lagti