ek-tarfa be-khudi mein gum hua rahta hun main be-mahaba faslon ko napta rahta hun main mere khad-o-khal ko pahchanna aasan nahin raste ki gard mein akasr ata rahta hun main jaanta hun dhundhta hun ek sarab-e-nur ko phir bhi us ki khoj mein paiham laga rahta hun main karwan-e-shauq jis ko zindagi kahte ho tum is tag-o-dau ke jilau mein hi sada rahta hun main hazrat-e-waiz tujhe mera pata kyunkar mile jism ke kabe mein manind-e-khuda rahta hun main