saz-e-hasti pe abhi jhum ke ga le mujh ko zindagi se ye kaho aur na tale mujh ko main ne to subh-e-darakhshan ki dua mangi thi kyun mile zard charaghon ke ujale mujh ko tujh ko pane ke liye umar ganwa di main ne haq to banta hai ki tu apna bana le mujh ko ye to saqi ki jagah aur koi baitha hai ye jo gin gin ke pilata hai piyale mujh ko main zamane ke jhamelon mein dhansa jata hun us se kahiye ki wo daldal se nikale mujh ko apni khamosh tamanna ki aziyyat se nikal jo sunana hai zara khul ke suna le mujh ko na-tawani hi meri tab-o-tawan hai 'adil' main ne kab tujh se kaha tha ki bacha le mujh ko