use malal ho kya dost ki judai ka jo sah chuka ho gham-o-ranj aashnai ka bhalai mein bhi nikala sabab burai ka bana diya hai adu ne pahad rai ka ye chand-tare ye suraj hain kya dariche hain tujhe bhi shauq hai goya ki khud-numai ka tadapta dekh ke charke lagae bismil ko sitam to thik pa aalam teri dhitai ka main jab yahan se gaya mere hath khali the hisab le liya duniya ne pai pai ka