kabhi mili jo tere dard ki nawa mujh ko khamoshiyon ne mujhi se kiya juda mujh ko badan ke sune khandar mein kabhi jala mujh ko main teri ruh ki zau hun na yun bujha mujh ko main apni zat ki ham-saegi se darta hun mere qarib khuda ke liye na la mujh ko main chup hun apni shikast-e-sada ki wahshat par mujhe na bolna pad jae mat bula mujh ko ye main tha ya mere andar ka khauf tha jis ne tamam umr di tanhai ki saza mujh ko bhatak raha hun main be-samt raston ki tarah kisi bhi samt ka ho rasta dikha mujh ko har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko samo ke aankhon mein umdi ghataen ai 'azad' wo ek dard ka sahra bana gaya mujh ko