fida allah ki khilqat pe jis ka jism o jaan hoga wahi afsana-e-hasti ka mir-e-dastan hoga yaqin jis ka kalam-e-quds ajr-ul-mohsinin par ho niko-kari ka us ki qael ek din kul jahan hoga hayat-e-jawedani paega wo ishq-e-sadiq mein jo anqa ki tarah madum hoga be-nishan hoga safar rah-e-mohabbat ka chahal-qadmi samajhte ho abhi dekhoge tum ek ek qadam par haft-khwan hoga hamein gulzar-e-jannat hai azizo bagh-e-dil apna samajhte ho ki jaan-parwar hai sehn-e-gulistan hoga jo isar aur hamdardi shiar apna bana loge to kanta bhi tumhein rashk-e-gul-e-bagh-e-jinan hoga ye qissa shama o parwane ka bas ma-washa tak hai wo ho jaega bazm-ara to phir koi kahan hoga ada-e-farz bar-haq par khapa do dosto jaan tak ye wo sauda hai aakhir ko nahin jis mein ziyan hoga azal se waizo ke qaul duniya sunti aai hai amal ka waqt bhi koi kabhi ai mehrban hoga taghaful aur sitam ke badle hai andaz dildari sambhal ai shauq-e-be-payan tera ab imtihan hoga tahi-dastan-e-qismat ko to dam lena qayamat hai yahan kuchh ho gaya insaf-e-ashiq jo wahan hoga na samjho khel is ko bazm 'kaifi' mein wo jadu hai yahan gar zahid-e-khushk aaega pir-e-mughan hoga