gham-e-kaun-o-makan se fikr besh-o-kam se guzre hain faqat ek jam mein hum kitne hi aalam se guzre hain guzargah-e-tamanna mein gulistan ho ki zindan ho jidhar guzre hain diwane isi dam-kham se guzre hain zamana aashna hai sirf ashkon ke talatum se wo tufan aur hain jo dida-e-be-nam se guzre hain guzarna khak-e-dil se shayad un ko bar guzra hai nishan-e-pa batate hain ki kuchh barham se guzre hain hamein ai gardish-e-dauran gaya-guzra na jaan itna guzarne par jab aae hain to har aalam se guzre hain kise kahte hain waqton ki nazakat aap kya jaanen hami waqif hain hum kis kis maqam-e-gham se guzre hain bahaaron ki tamanna mein luti thi zindagi jin ki bahaar aai to raqs-e-shoala-o-shabnam se guzre hain nazar ko raushni kya 'shauq' denge dubte tare kai suraj hamare samne maddham se guzre hain