ek to nazron mein hai aur ek fitna sar mein hai ek adu bahar hai mera ek dushman ghar mein hai bolne lag jae ek zi-ruh ki manind sang qudrat-e-haq se bahut kuchh qudrat-e-azar mein hai main jahan gir jaun thak kar hai wahi lahna mera ek tarah se meri manzil mere baal-o-par mein hai letta hun to chipak jati hai kyon is se kamar dekhta hun jhad kar kya khasiyyat bistar mein hai khub-tar ki aarzu karta hun 'basir' is liye chahiye wo kuchh jo achchhe mein nahin behtar mein hai