zarron ko harif-e-mah-o-khurshid bana do insan ki rahon mein sitaron ko bichha do wo zulf-e-siyah-posh ki hai jis se andhera khurshid-e-jahan-tab ke chehre se hata do tufan-o-hawadis ki shikayat kahan tak tufan-o-hawadis se safinon ko lada do jo apni nazar tishna-labon par nahin rakhta us saqi-e-kam-zarf ko mahfil se utha do parwezi-e-parwez hai kuchh roz ki mehman darai-e-dara ke ghulamon ko bata do gulshan se mohabbat hai to ai ahl-e-gulistan tafriq-e-gul-o-lala gulistan se mita do duniya ko dikha do ki ho tum sabr ke khugar aadab-e-wafa jabr ke khugar ko sikha do 'faruq' faqat maqsad-e-takhliq yahi hai insan ko insan ka parastar bana do