hum is dayar ke is khak-dan ke the hi nahin wahin pe aa ke base hain jahan ke the hi nahin the jis ka markazi kirdar ek umr talak pata chala ki usi dastan ke the hi nahin safar se laut ke hairat hui parinde ko ye khar-o-khas to mere aashiyan ke the hi nahin har ek rang mein dekha hai us ko aankhon ne ye rang pahle kabhi aasman ke the hi nahin hamein bahaar ke mausam mein le udi hai hawa wo barg-e-zard hain hum jo khizan ke the hi nahin isi liye nahin rakkha hisab sanson ka ki masale kabhi sud-o-ziyan ke the hi nahin talash karte ho kyun 'shad' guzre lamhon ko wo rah-rau to kisi karwan ke the hi nahin