kitni mushkil se gham-e-dost bayan hota hai

kitni mushkil se gham-e-dost bayan hota hai
ashk thamta hai na aankhon se rawan hota hai

mutrib-e-waqt ka aahang badal deta hun
jab tere aariz-o-gesu ka bayan hota hai

rang-o-bu ban ke jo udta hai shabistanon mein
wo bhi hasrat ke charaghon ka dhuan hota hai

zindagi jabr ke daman mein janam leti hai
aadmi dar ke sae mein jawan hota hai

thahar jata hun tah-e-zulf-e-nigar-e-farda
bar-e-imroz jo shanon pe garan hota hai

zindagi kya hai bas ek khana-e-matam 'jawed'
dil dhadakta hai to ehsas-e-fughan hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close