ek umr hui aur main apne se juda hun khushbu ki tarah khud ko sada dhund raha hun har lamha teri yaad ke sae mein kata hai thak thak ke har ek gam pe jab baith gaya hun tu lakh juda mujh se rahe pas hai mere tu gumbad-e-hasti hai to main is ki sada hun har sans teri baad-e-sahar ka koi jhonka main phul nahin aur tere raste mein khila hun taswir ki har nok palak hai mere khun se ek rang hun main aur tere khwabon mein ghula hun har sans chali aati hai jaan hath mein le kar main sochta hun main bhi koi koh-e-nida hun zinda hun ki marna meri qismat mein likha hai har roz gunahon ki saza kat raha hun ek aalam-e-tanhai hai kuchh dekha hua sa shayad ki main apne hi bayaban mein khada hun ye haal mera meri mohabbat ka sila hai jo apne hi daman se bujha ho wo diya hun tu chand hai main chand ka anjam-e-safar hun aankhon mein teri dur kahin dub gaya hun ruswa hun magar khud se chhupa phirta hun 'tabish' apne se nihan sare zamane pe khula hun