is mohabbat mein kuchh maza bhi nahin jis mein ranjish nahin bala bhi nahin chal diye kya jahan se ahl-e-wafa aaj un ka kahin pata bhi nahin aisa insan bhi ghanimat hai jo bhala bhi nahin bura bhi nahin mujh se mil kar wo chal diye chup-chap kuchh kaha bhi nahin suna bhi nahin ai gulo muskurae jate ho tum ko khauf-e-khizan zara bhi nahin jis ne duniya mein daud-dhup na ki us ko duniya se kuchh mila bhi nahin apni apni lagi hai sab ko yahan ek ko ek puchhta bhi nahin