ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin ji mein aata hai ulat den un ke chehre se naqab hausla karte hain lekin hausla hota nahin shama jis ki aabru par jaan de de jhum kar wo patinga jal to jata hai fana hota nahin ab to muddat se rah-o-rasm-e-nazara band hai ab to un ka tur par bhi samna hota nahin har shanawar ko nahin milta talatum se khiraj har safine ka muhafiz nakhuda hota nahin har bhikari pa nahin sakta maqam-e-khwajgi har kas-o-na-kas ko tera gham ata hota nahin hae ye beganagi apni nahin mujh ko khabar hae ye aalam ki tu dil se juda hota nahin barha dekha hai 'saghar' rahguzar ishq mein karwan ke sath aksar rahnuma hota nahin