mohabbat ka shikasta-pan nazar kya aae bahar se ye dimak to badan ko chatti rahti hai andar se tumhaare hijr ka ye dard-e-sar to mustaqil thahra mujhe lagta hai jaan le ke ye utrega mere sar se meri tartib mein sahra-mizaji kar-farma hai bujhegi pyas kya meri bhala ashkon ke sagar se teri dahliz pe main muntazir apni na rah jaun yahi sab sochti hun laut aati hun tere dar se meri khamoshiyon ko chikh banne ka bahut dar hai koi aawaz uthne lag padi hai mere andar se 'samina' masala ye hai meri qamat se kamtar hai hamesha pyas pi kar laut aati hun samundar se