ek yaad jo mazi ki mere dil mein basi hai

ek yaad jo mazi ki mere dil mein basi hai
sae ki tarah mere taaqub mein lagi hai

ye silsila-e-bahr kahin tut na jae
aage to faqat pyas hai aur tishna-labi hai

afsane ka unwan abhi tak hai adhura
mahfil hai saji sahab-e-mahfil ki kami hai

tarif yahi hai mere andaz-e-sukhan ki
mahke hue alfaz ki ek shakl-gari hai

ye saf na hogi kabhi ashkon ki ladi hai
jo gard zamane ki kitabon pe jami hai

wo dekhiye tham tham ke barasne pe hai mail
sharminda mere ashk se sawan ki jhadi hai

kya ho gaya tujh ko mere ehsas ki duniya
bujhte hue shoalon se tapish mang rahi hai

har ruh mein 'iqbaal' hai ek rang-e-latafat
insan ki tamir to mitti se hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close