mahfilon ke darmiyan tanhaiyon ke darmiyan

mahfilon ke darmiyan tanhaiyon ke darmiyan
zindagi guzregi kab tak wahimon ke darmiyan

kuchh adhure rang hain kuchh na-mukammal aks hain
khwab zinda hain shikasta aainon ke darmiyan

dosti aur raushni ke daere hain mukhtalif
hum sabhi maujud hain in daeron ke darmiyan

hum to samjhe the ki hum aasuda-e-manzil hue
ek padaw aa gaya hai hijraton ke darmiyan

zindagi kar-e-musalsal hai to kat hi jaegi
chand yaadon ke sahaare wahshaton ke darmiyan

wo bahut masum hai lekin use malum hai
dusra koi nahin hai dhadkanon ke darmiyan

ranjishon ke silsile yunhi sada badhte nahin
tisra koi to hai do bhaiyon ke darmiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close