jab bhi hansi ki gard mein chehra chhupa liya be-laus dosti ka bada hi maza liya ek lamha-e-sukun to mila tha nasib se lekin kisi sharir sadi ne chura liya kante se bhi nichod li ghairon ne bu-e-gul yaron ne bu-e-gul se bhi kanta bana liya 'aslam' bade waqar se degree wasul ki aur is ke baad shahr mein khwancha laga liya