ek ye dil jo tujhe de ke ganwa dene laga aur ek chiz koi is ke siwa dene laga aisi khushbu hai ki ab zabt nahin hai mumkin main hawaon ko koi raaz bata dene laga ab mere samne rasta hi kuchh aisa hai ki main apni manzil ko bhi raste se hata dene laga wo jise dekh ke jalne mein maza lena tha waqt wo dagh-e-tamanna bhi mita dene laga jis ki gardish mein mah-o-mehr hon dohrae hue aise manzar ko main mehwar se hata dene laga kya zamana tha tere wasl ki betabi ka kya zamana hai tera hijr maza dene laga ek hasrat mein hua itna mujhe ranj ki main hath aai hui duniya ko ganwa dene laga itna mahrum-e-tamanna hun ki ab aakhir-kar main ne jo chaha wahi mujh ko khuda dene laga aab-e-sada jo barasta hai dariche se pare aatish-e-mai ko zara aur badha dene laga mujh ko sunna tha kisi aur zamane ne 'wafa' main kisi aur zamane mein sada dene laga