gauhar-e-ashk se labrez hai sara daman aaj-kal daman-e-daulat hai hamara daman ai junun baad-e-bahaari se nahin jumbish mein kuchh gareban se karta hai ishaara daman wasl ki raat hai bigdo na barabar to rahe phat gaya mera gareban tumhaara daman jama-chin ne nahin ye phul chune nargis ke saikdon aankhon se karta hai nazara daman bahut ai dast-e-junun tang-nazar aata hai bandh de daman-e-sahra se hamara daman khub pahuncha diya ai dast-e-junun hathon-hath mil gaya aaj gareban se sara daman aamad aamad mere ashkon ki magar sun li hai jhad kar gard jo sahra ne sanwara daman