gul-o-gulzar guhar chand sitare bachche rang-o-bu nur ke paikar hain ye sare bachche aaine hain ki damakte hue chehre in ke aise shaffaf ki dariyaon ke dhaare bachche kitne masum ke ye sanp pakadna chahen kitne bhole hain ki chhute hain sharare bachche aane walon ko bata dete hain ghar ki baaten kab samajhte hain ye aankhon ke ishaare bachche khud se das-bis baras aur bade lagte hain ghar banate hue dariya ke kinare bachche ganw jata hun to chaupal ka ek budha darakht bahen phaila ke ye kahta ki aa re bachche ab na wo khel khilaune na shararat 'faruq' kitne khamosh akele hain hamare bachche