ghatega tere kuche mein waqar aahista aahista badhega aashiqi ka e'tibar aahista aahista bahut nadim hue aakhir wo mere qatl-e-nahaq par hui qadr-e-wafa jab aashkar aahista aahista jila-e-shauq se aaina-e-taswir-e-khatir mein numayan ho chala ru-e-nigar aahista aahista mohabbat ki jo phaili hai ye nikhat bagh-e-alam mein hui hai muntashir khushbu-e-yar aahista aahista dil o jaan o jigar sabr o khirad jo kuchh hai pas apne ye sab kar denge hum un par nisar aahista aahista ajab kuchh haal ho jata hai apna be-qarari se bajate hain kabhi jab wo sitar aahista aahista asar kuchh kuchh rahega wasl mein bhi ranj-e-furqat ka dil-e-muztar ko aaega qarar aahista aahista na aaenge wo 'hasrat' intizar-e-shauq mein yunhi guzar jaenge ayyam-e-bahaar aahista aahista